webnovel

Pehli Mulakat

Bachpan mein pata nahi hota bohot baar ki aage kuch log firse milenge bhi ya nhi buss har shaks apni jindagi buss jiye jaata hai jaise chal rahi hai waisi

meri kahani bhi kuch aisi hi hai pata nhi tha ki bachpan ki wo dost firse milegi bhi ya nahi buss aaj bhi uss se ek mulakat ho jaye aisi dua karta hoon .

To jyada wakt na gawate mein apni kahani shuru krta hoon.Chuttiyo ke din the aur mein apne bade dadaji ke paas gaya hua tha sabhi bhai or behen bhi aaye the chuttiya manane ke liye kuch din rehkar wo chale gye aur mein akela pad gaya uske baad meri life mein wo aayi jiska na mujhe andaja tha na koi ummid.

Meri Uss Se Pehli Mulakat bhi badi kamal ki hue thi uss se na wo mujhe janti thi na mein usse buss bachpan ki uski uss masumiyat ne hame karib laya buss itna hi kahunga.

To hua yu ki mein har roj ki tarah apne hi dhoom mein khel raha tha akele akele bachpan mein mitti ke bartan banane ka bada shok tha mujhe aur gaon ki mitti hoti hi aisi ki uss se asani se bartan bann jate hai,mujhe jyada to nhi aata tha buss jitna aata tha wahi mein banaya krta tha, ek din achanak wo aayi or dekhne lagi ke mein kya bana raha tha mein usse janta bhi nhi tha or thoda sharmila bhi tha to maine uss se baat nhi ki magar usne baat krna chalu kr diya are tum to bade achche se bana lete ho mitti ke bartan aisa bolke hamari baate shuru hue phir usne bhi kuch banaya mitti ka magar mujhe usne tab tak nhi dikhaya jab tak wo pura nhi hua pura ho jaane ke baad usne dikhaya to pata chala ki usne ek ladka banaya aur bola yeh h mera naya dost to main hasne laga aur bola ye kaisa dost hai tera to wo boli kyon nhi ho sakta maine kaha kyon ki ye bol nhi sakta to usne kaha tum to bol sakte hona to phir tum hi ban jao mere dost uss din usne mujhse haat milaya aur kaha aaj se hum dost hai aur mein buss uski taraf dekh kar muskuraya aur uske baad wo chali gayi aisi thi hamari pehli mulakat.....