13 My Introduction

Mera naam Aslan hai , is waqt meri umr 17 saal ki hai . Jab mera accident hua tha , uss waqt meri umr 15 saal ki thi aur main 10th class mein padh raha tha . Main ek upper-middle class family se belong karta hoon. Mere dad ek businessman hain aur mom house wife.

Hamari zindagi khushal thi aur busy bhi thi , jaesi ki aam taur par har middle class family ki hoti hai. Hum jis ghar mein rahtein hain uske do floors haii , aur garden area bhi hai . Har floor pe 4 kamrein hain aur saath hi saath har floor par 2 bathroom aur ek kitchen hai .

Garden area thoda accha khasa phaila hua hai , to ek floor ka chota sa ghar papa ne main ghar se alag , garden ki boundry ke bilkul kinare banwaya tha.

Isko banane ka maqsad(aim) papa ka ye tha ki agar koi mehman ayein to uss mein unko tharaya jaa sake. Is wale ghar mein 2 room ek kitchen aur bathroom bhi tha. To app kah saktein hain ki ye ek tarah ka guest house tha.

Guzarte waqt ke saath saath kiyunki mujhe bhid-bhad mein rahna bilkul pasand naheen tha , isliye zayada tar waqt main usi guest house mein guzarta tha. Dheere dheere karke khamoshi ke saath maine apna laptop ,apni kitabien , apne kapde sab usmein shift kar liya tha haha .

Phir jab dad ko ahasas hua ki maine uspe kabza kar liya hai to mom aur dad dono ko mujhpar hasi aane lagi . aur wo aksar kahne lage ki kitni chalaki se aslan wahan chala gaya .

To ab guest house Aslan's(yani mere) house mein badal chuka tha.

Main umse se kam hi bahar nikalta tha aur uske liye daant bhi kayi baar daant bhi padti thi. Main akele rahna itna pasand karta tha ki , apna khana bhi , main-ghar se le jake Aslan's house (yani apne s called personal house ) mein le jake khane laga . Kabhi kabhi mummy ya meri bahne mera khana woheen laake de jati thi. Par har baar mera mazaak zaroor udati theen ki .. "kya aslan , kitne lazy ho tum !" . Aur main bas muskura ke rah jata.

Hum lucknow ke outer area mein rahtein hain . Yahan abadi abhi zayda naheen hai. Khaas kar jis area main hum rahte hain, wahan bahut hi kam log aake base hue the.

Mera ghar ke aas-paas mushkil se 5 ya 6 ghar honge. Wo bhi acchi khaasi doori par. Ass-pass kafi jayada khait(fields) theen. In kheton mein jab faslein hoti theen , to unke nazaare dekhne layak hote the.

To apko andaza to ho hi gaya hoga ki meri sorrunding kaesi thi. Mujhe bachpan se hi natural cheezon se kaafi lagav ho gaya tha.

Khamosh rahna, apne mein khush rahna ye meri fitrat(aadat) ban gayi thi.

Day dreaming(din mein khwaab dekhna ) to mano meri ek hobby thi .

avataravatar
Next chapter