12 Memory

Kiyunki 6 mahine se takreeban meri physiotherappy chal rahee thi , jiskkki wajah se meri body bhi kaafi sudhar gayi thi . Pahle bhi Main body banana chahta tha , lkein body- builders wali naheen . Bas yuun ho ki thoda shirts aur t–shirts fit ho jayein , isse zayada naheen .Lekin kiyunki main kaafi lazy tha , isliye kaun jaye gym !! .

Lekin ab physiothrapy ke bahane body bhi theek thaak ban gayi thi .

Meri lambai average indian ke lambai se halka zayada thi , lekin Amitabh bacchan wali bhi naheen . par ye zaroor tha ki aap mujhe lamba hi kahenge agar aapki height ek average Indian jitni hai to.

Mere memory ki agar baat karein to mujhe cheezein badi jaldi yaad ho jaa rahi thee aur bina revision kiye bhi wo cheeze badi din tak yaad bhi rah rahi theen .

Aur meri ye capability waqt ke saath badhti chali jaa raheen thee . Example ke taur pe 6 mahine pahle ki agar baat karein ,to mujhe cheezein kam yaad hoti theen aur kam time-period ke liye yaad rahti theen ( lekin phir bhi mere accident se pahle wali zindagi ke comparison mein ye zayda theen ) .

Lekin agar current(maujooda) time ki baat karein to maine 20 din pahle kya padha tha wo mujhe aaj bhi maloom hai ( alteast 20 %) .

"WRITER's NOTE- App soch rahe honge ki ye to apko bhi maloom hai ki apne ne 20 din pahle kaun si kahani padhi , ya kis topic par bahas ki etc etc. Par story ke main character ko ye bhi yaad hai ki uss kahni ki story kya hai aur yahan tak yah bhi use yaad hai ki kin kin alfazon(words) ka istemaal us story mein kiya gaya tha . Aur ye capability din ba din badhti jaa rahi thi . pahle mahine 10 % . Phir 3 mahine ke baad 15 % . Phir 6 mahine ke baad ye capabilty aaj 20 % par pahuch chuki hai" .

avataravatar
Next chapter