9 Melanin pigment

Wo reports kya thi .. ab aage

Reports mein tha ki mera "MELANIN PIGMENT " bahut hi kam ho chuka hai , aur meri body iss pigment ko ab kaafi less amount mein produce kar rahi hai .

"Ye akhir melanin pigment hai kya ? well jaesa ki aap agar paid(tree) ki pattiyon(leaves) ko dekhein to zaydatar hari(green) hoti hain . Aesa is liye hota hai ki pattiyon ke andar ek aesi cheez payi jati hai jo usko hara color deti hai . Aur uss cheez ka naam hai " Chlorophyll " .

Theek isii tarah se insaanon ke andar bhi ek aesi cheez payi jati hai jo ki yah decide karti hai ki insaan ki skin ka kaun sa color hoga aur usi cheez ko "melanin pigment " kaha jata hai .

Is melanin pigment ka ek aur kaam hai ki , yah skin ko sunlight(suraj ki roshni ) se pahuchne wale nuksaan se bachata hai .

Yahi wajah hai ki Africans mein melanin bahut zayda paya jata hai kiyunki wahan sooraj kaafi tez hota hai . Aur isi liye unke skin ka color dark hota hai ."

Khair jab doctor dhyaan se dekhne lage reports ki taraf . tab dad ne unse poocha… " Is everything alright ? " ( koi gadbad?)

Phir doctor bina dad ke sawaal ki taraf dhyaan dete hue , achanak se meri ankhon ki ek baar phir se jaanch karne lage . mujhse doctor ne poocha ki sab kuch saaf saaf to nazar aa raha hai na . Maine haan mein reply diya . Phir doctor ne meri eyesight check ki .

Sab kuch karne ke baad doctor mere dad ki taraf mude aur kaha .. ye to gazab hi hai ! . Dad ne phir se apna sawal dohraya ki , "is everything alright sir ?"

DOCTOR- ji ji sab kuch sahee hai , par reports ke mutabik apke bacche mein melanin pigment kaafi kam ho gaya hai .

DAD – then what ??

DOCTOR – Melanin ki kami ki wajah se apke bete ki skin ka color change ho gaya hai ye to samjh mein aa raha hai .

"Maine man mein socha ,Kya meri skin ka color change ho gaya hai !? maine apne aapko dekhne ki koshish ki par kiyunki main move naheen kar paa raha tha , isliye naheen dekh paya"

DOCTOR – par sir haerangi(surprise) ki baat yah hai ki akhir aesa hua kiyun , hume iski koi knowledge naheen hai . aur dusri baaat ki jin logon ko melanin pigment kam hota hai unki eyes mein bhi kuch problem zaroor ho jati hai . Par apke bacche ki ankh bilkul sahee hai , infact normal logon se bhi zayada acchi hai .

DAD-( hairan aur khush hote hue) – aesa kiyun ?

DOCTOR –sorry sir but for now we don't know .( abhi ke liye hume naheen malooom )

DAD – to matlab koi pareshani ki baat naheen hai ? right ?

DOCTOR – Yes sir you can relax. He is totally out of danger ( appka baccha khatre se bilkul bahar hai ) , and he seems completely healthy.

avataravatar
Next chapter