2 Accident and new beginning (part - 2)

aur jo maene dekha mujhe samjhte der na lagi ......( next )

ji haan mujhe samjhte der na lagi ki ab main gaya , truck ne already bus ke agle hisse pe thokar maar di thi . Agle hi pal kya hua ?! , i don't have any idea (mujhe kuch naheen malooom ) , bus itna yaad hai ki ass pass ki har cheez black ho gayi aur ek lagataar awaaz mujhe sunai de rahi thi . Us awaaz ke baare mein main bata naheen sakta ki wo kaesi awaaz thi , lekin agar aapne kabhi heart machine dekhi ho , to mareez ke marne ke baad jaesi machine awaaz karti hai jaese ki teeeeeeeeeeeeeeeeeeennnnnnnnnnnnnnnn ---------------- , to shayad aap andaza laga saktein hain .

Tabhi meri aankh khul jati hai ! . Waqt beech raat ka , charo taraf mere qamre mein andhera.Main paseene se lath path aur saanse tez .Maine socha yaar ye kaesa khwaab tha ! jaan hi le li . Khair kisi tarah se maine wo raat kati .

Agli subah kisi anjaan awaaz ki wajah se meri neend khuli . Awaaz ghar walon se bilkul alag thi , normally mom aati thin mujhko jagane kabhi bhi agar main late tak sota rah jaaon to . Par aaj ek alag hi awaaz ? akhir kiski hai ? par ek baat thi ki , ye ek ladki ki awaaz thi . To zayada dimaag pe zor na dalte hue maine socha ki shayad koi mehmaan aye honge .

Maine apko pahle hi bataya tha ki mujhe logo se mulakaat mein bilkul dilchaspi naheen thee . Isliye main sota hi raha infact yuun kahein ki nataq karta raha .

Lekin uske baad jo baat-chit maine suni ,usne mujhe pura andar taq hila ke rakh diya . Ek awaaz to mom ki thi , aur ek kisi anjaan shaqs ki . Aur baat cheet kuch iss tarah thi ....

ANJAAN ADMI -- Mam ab apke pass koi alternative (vikalp) naheen bacha hai , you have to make decission (apko faesla karna hi hoga !).

MOM -- but sir aese kaese koi faesla kar sakta hai , aap hamri jagah hote to kya aesa hi karte .

ANJAAN ADMI--par mam humne already 2 saal tak wait kar liya hai , ab buss aap matter ko aur bigaad raheen hain , apko apni family aur bacchi ke bare ein sochna chahiye aap kab tak yaheen rahengi , app ko pane future ki koi chinta naheen hai kya . you should look forword to your future .

"mom ne jawaab dene ki koshish ki , par shayad wo itna ro chuki theen ki unse kuch na bola gaya ".

Tabhi Dad ki awaaz sunayi di .

DAD -- Darling i think we should think about this idea ( hume ispe soch vichaar karna chahiye) . akhir ek choti bacchi hai hamre ghar pe , uska bhi to future dekhna hi padega .

Maine uske baad thodi der tak koi awaaz naheen suni , kewal kuch awazon ke , jisme se ek awaaz aesi lag rahi thi ki mano koi machine se aa rahee ho aur dusri awaaz thi mom ke sisakne ki . Par beshaq mom ki sisakne ki awaaz in sab awazon se saaf thi .

Maine socha ab mujhse bardaasht naheen hoga , isliye ankhe khol ke , sone ka natak khatm karoon , akhir pata to lage ki masla kya hai !. Par na jane kya soch ke main natak karta hi raha . Shayad isliye ki mujhe aese rone dhone wali situations mein padna accha naheen lagta. ............................

....to be conti.....

avataravatar
Next chapter