webnovel

Mariam Khan Reporting Live [Part 1]

Mariam subha subha darbar pr jati hai or apni sari batain batati hai baba ji ko

Mariam:

Asslamoaliakum main Mariam hon Mariam Khan apke pas ma jo Firdous Mahal hai na main wohi rahti hon ap to jante hi hongy ap to pory Gopal ko jante hain na aj main apko ek parshani wali kahani batane ai hon agr ap mari parshani door kr dain ge to main hamsha yahan aya krogi agr ap nahi bhi kry ge to bhi main hamsha yahan aya krogi pr please kr dijiye apke liye ya choti c hi to bat hai main apko shuru se batati hon ta k apko samjhne main koi parshani na ho

aj subha bhi mujhe roz ki tarah zabardasi uthaya gya

roz subha yahi hota hai mare sath

Amina bi:

apne toothbrush nahi kiya abhi tak mujhe parshan na krain rokiye nahi to main ya ghr chor kr chali jaon gi

Mariam:

ap hamsha yahi kahte ho lakin jate kaha ho shubha shubha mujhe uthane a jati ho

mariam bhag kr Mehar Appi k room main chup jati hai unki kaproo ki almari main so jati hai

Mariam:

or ya hain mari Mehar Appi ya bilkul ALLAH mian ki gaye hain lakin aj inho ne malo wali harkat ki hai

inho ne Amina bi ko ek or mari chupne ki jaga bata di

Amina Bi:

Mariam school jane k liye late nahi ho rahi ap

Mariam:

Mehar appi Dagabaz

mariam mehar api ka laptop off kr dati hai

Mehar appi:

piddi mare laptop ko choa na to pit jayegi

Mariam tumhe samjh nahi a raha

Mariam:

mehar appi aj to smile krain aj to apki badi bat hai

aj to apke sasoral se mithai ayegi or main to khowb khaogi

Mehar:

thapar khaogi

marim chali jati hai apni badi behn mahira k room ma

Mariam:

ya hai mari kharos appi Mahira

Mahira appi:

piddi andar ane ki koshish bhi ki na to kacha chaba jaogi

Mariam:

ma popcorn hon kya

Mahira appi:

bhag yahan se

mariam chali jati hai

Mariam:

mahira appi ke bare ma main apko bad main aram se bataon gi

Ya mari behne nahi doshman hain doshman in se acha to mara dost Ghalib hai

ya bhut kahil hai

ma roz subha is se milne ati hon

ya mujh se bhut sari batain krta hai

Ghalib ek kachwa hota hai

Mariam:

Asslamoalaikum Ghalib

Ghalib:

W.salam

Amina Bi:

Mariam

Mariam:

roz yahi hota hai mare sath sare ghr wale mari nind k doshman hain

mariam apne abu k pas chali jati hai abu kisi se bat kr rhe hote hain mobile par rishwat k bare main koi unko rishwat dane ki bat kr raha hota hai

abu mariam ko ishara krte hua kahte hain bath jao

mariam batha batha sofa par so jati hai

abu ate hain or mariam ko kande pr sola kr muskurane lag jate hain

Mariam:

pory ghr ma sirf mare abu hi hain jo mujhe sota hua dekh kr (muskurate) hain

abu mariam ko apne seene pr sola daty hain

Mariam:

ya rishwat kya hoti haiabu ???

Abu:

Koi galat kam kry or apko chupane k liye kuch dy usy rishwat kahte hain

Mariam:

pr wo apko rishwat kyu dy rahe hain abu??

Abu:

Kyu k apke abu hamasha se ek asy journalist hain jo hamsha sach likhte hain

Mariam:

Abu mujhe bhi apki tarah ja ja journalist manana hai

wo galat kaam kyu krte hain???

Abu:

apne faida k liye

Mariam:

galat kaam krne se faida hota hai?

Abu:

waqti tor par to hota hai lakin age chal kr bhut nuksan hota hai

Mariam: Matlb???

Abu:

matlb ap abhi nahi samjh payegi jab ap badi ho jayen gi to khud ba khud samjh jayen gi ap

Mariam:

to abu school bhi to bade ho kr jana chahiye waha pr mujhe kuch samjh nahi ata

Abu:

Acha beta

chalye jaye or mujhe wo news paper padh k bataiye

mariam news paper ko dekhti hai to words urne lag jate hain

Mariam:

ya jo words wali parshani hai na wo mane aj tak kisi ko nahi batati magar ma ya apko bad main bataongi

Ami:

Mariam

Mariam:

ya hai mari ami in k sar pr 2 singh hain jo sirf mujhe hi dekhai daty hain

Ami:

Subha subha pitna chahti ho???

aj school nahi jana?

Mariam:

Nahi jana

.

.

.

.

to be continued