webnovel

मै!

Koi kahani likhni hai, kahan se shuru karun? Kisi khubsurat chehre ki kalpana karun or chand ki upma dekar use kagaz par utarun,, ye to purana ho chukka hai, ab naye trend me to kahani asal haqiqat se mel khani chahiye warna audience ko pasand kahan ati hai,,,

Sochte sochte suraj dhal kar asmaan par,,jate jate surkh laalima bikher gya tha sham ke qariban 6 bj rahe honge table par apna chasma rakh kar mai khidki ke bahar nazar daudane lagi, dur tak pasri lalima mano kisi stree ki mang ka sindoor lag rahi thi jo suraj ki lambi umar k liye ho, stree ka roop, kya tabhi sundar lagta hai jab wo apne kisi pati ke naam ka sringar kare? Hn sayad esa hi hota hoga, samaj ke hisab se dekha jaye to wahi stree sampan hai jo samay par kisi var ki vadhu bn kar sringar me saje na ki wo jo apne liye sringar kare or wo bhi bina kisi ki vadhu bane.

Itna sochna tha ki shamila ek cup kaali chai or ek cup dudh ki gadhi chai k sath til k sath lipte hue toast le ayi thi, mere chehre par hmesa muskan saji rehti hai ye shamila ko kabhi paresan karti hai to kabhi sukoon bhi de jati hai or ye sab wo apne chehre ke bhavo se vyakt karti hai, likh likh kar padhna bhi sikh liya tha mene chahe koi kitab hoy a koi maanav….

Manav han maanav…. Naam hai ye kisi ek vyakti ka jo karan ban kar betha meri grasthi na basne ka, ma baap ki nazr m wo ek matr karan tha meri sadi na karne ka. Wo ni smjhe ki maanav akela karan nahi tha mere akele hone ka kahin na kahin wo bhi the as pas or bhi kayi log the jinhe dekh kar mene faisla kiya akele rehne ka.

Aj mai 29 varsh ki mahila bn chuki hun jo ab west Bengal ke eke k khubsurat jile Darjeeling me rehti hun, pahadon se ghira shiv Shankar ke Himalaya ke pas bada sukoon milta hai.

Next chapter