11 DABBA SHARING!

Subha jab meri aankh khuli toh mein bahar aai mausam bahut achha tha, suraj bas nikal hi raha tha aur thandi thandi halki halki hawae chal rahi thi. us mausam mein khoo jane ka dil kar raha tha.main kuch aage jakar ghaas par baith gai fir neele neele aasman ko dekhne lagi, aankhoun ko band karke hawa ko mehsus kiya.

Kuch der waha baithne ke baad main wapas sabke paas gai tab tak sab jag chuke the. main jab pahunchi toh Sara ne kaha "arey Tara kaha chali gai thi, main toh ghabra hi gai thi. aao nashta karlo teachers ne kaha hai." "main yahi thi, ha chalo."

Nashta karne ke baad teachers ne kaha "Aap log thoda rest karlo fir hum pahad chadhenge, sab apne apne tents lelena". aaram karne ke baad sab pahad ki taraf rawana hue, pahad bahut unchai par tha. hum sab kuch der ruk ruk kar chal rahe the. jab hum waha pahuch gae toh teachers ne hume alag alag kism ke insects aur ped paude dikhae, unke botnical names and unke uses bhi btae.

Fir sablog khana khane wahi baith gaye. sabne apna apna khana share krke khaya. maine apna khana sabko dene ke baad dekha ke sidharth kuch bhi nahi kha raha tha aur ek kinare akele baitha hua tha toh main uske paas gayi aur use kaha "Arey tum yaha akele kyu baithe ho? kuch kha kyu nahi rahe ho"

"main kuch lekar nahi aaya hu, aur mujhe bhuk bhi nahi hai aap sab log khalo"

"arey lo ye pura tum khalo, mera pet bhar chuka hai"

usne lene se bahut mana kiya lekin main dabba uske paas hi chod kar bolte hue aagayi ke "khalena pura".

avataravatar
Next chapter