1 We will definitely meet again

Ek ladki jiska naam zara tha use badi mushkion ke baad London mai collage padhne ka moka mila.

Wo apne collage ki taraf badh rhi thi ke uski takkar ek ladke se hui uska samaan uske hath se gir gaya per usne dekha us ladke ko zara bhi farakh nahi padha wo abhi bhi wahin khada hokar use ghoore jaa raha hai.

Usne socha ek to mujhse takkar karke mera saaman gira diya or uthane mai meri madad bhi nahi kari itni tez bhaag hi kyon raha tha bhala koi aise bhagta hai wo bhi beech road mai ye angrez bhi naa.

Zara ne kaha what are you seeing?

Usko nakab pehna dekh ker usne kaha. Are you an Indian?

Zara=Huh!

?= I know you are Indian because of your look You are so beautiful. Well my name is Ziyan I'm from Korea usne apna hath badhaya handshake karne ke liye magar Zara ko samaan uthate dekh uski madad karne laga waise mujhe bhi thodi thodi hindi aati hai d..

Zara apna saman le kar wahan se jaane hi lagi ke Ziyan ne kaha stop per Zara chlati gayi Uske hath Mai bhi ek bag tha wo uske peeche aane laga Zara jaldi jaldi chalne lagi ankhir Iski problem kya hai mera peecha kyon kar raha hai.

tabhi ek truck aaya Zara ek deewar ke peeche chip gayi

Ziyan= are abhi to yahin thi kahan chali gayi you can hide where ever you want but we will definitely meet again.

avataravatar
Next chapter