webnovel

02. Faded Dream

Akram ghar pohnch jata aur garage mein apni cycle rakhta aur wahan mojud sink pe apni aankhein saaf karta.

Akram: (ghar ka darwaza kholty hoye) SALAM! (ghar me daakhil hoty hi aik khushboo aati) yumm... yaqeenan aaj maa nay biryani banai hain.

Maa: WSSALAM! Mera munna aagya.

Akram: Maa...!! Ab mujhy munna nah kaha karein. Main ab bara hogya hoon 2nd-grade mein parhta hoon (mas'khra andaaz mein)

Maa: Han bilkul! mera munna bara hogya. Par chahe jitne marzi baray ho jao meray liye meray munne hi rahoge (pyaar wale andaaz mein)

Akram: (cute-sa face banaty hoye) Maa jee... I know.. And you know Maa.. I love you!

Maa: I love you too, maa ki jaan... chalo ab jao achhi tarha mou-haath dhoo aur uniform change kar ke aao. Tumhara pasandeeda khana banaya hain..

Akram: Yay! Biryani.. Main yuu gya aur yuu aaya. Aaj main 2 plates khaounga

Maa: (Muskuraty hoye) han han sara khaa lena tumhare liye hi tou banaya hain.. Chalo shabaash.. Main khana lagati hon.

Akram: (khana khaty hoye) Ummm..mm.. So yummy, love it. You are the best maa.

Maa: (with a smile) pait bhar kar khao.

Raat ka waqt, Akram apne room mein soya howa hai aur bar bar bechaini mein karwatein badal raha.

<< In Akram's dream

Akram ke baba nay Akram ko kandhon par uthaya howa hain.. Dono ghar ke ground mein hansi-mazah kar rahay aur khel rahay hoty aur asman mein kallay badal thy ke kabhi bhi barish shuru ho skti. Itne mein baba ka phone bajta.

Maa: Akram ke baba sunein. Aap ka phone baj raha hain.

Baba: Kis ka phone hai? Bolo baad mein phone karna.

Maa: Jee kisi Sufyaan ka phone hai, keh raha hai urgent kaam hai. Kuchh pareeshan lag raha hai woh.

Baba: (phone par baat karty hoye) han Sufyaan bolo. Kya howa? (Sufyaan phone par situation batata) kyaa? Kaaab? Main.. Main... abhi aaya.

Maa: Kya howa kuchh batayein tou.. Aap boht pareeshan lag rahay hain..

Baba: Tum Akram ko ander lay kar jao. (Baba akram ke sar par haath rakhty hoye) beta apni maa ke paas jao main abhi aaya.

Baba dourty hoye car mein bethty aur chalay jaty. Akram baba, baba, kehty hoye aik baazu aagy ki taraf karty hoye peeche bhaagne lag jata (Akram yeh sab manzar dekh raha hota magar aik rooh ki tarha) >>

Ke achanak Akram ki aankh khul jati (time: 07:15) Akram boht ghabraya howa baba, baba, baba zour se bolta jaa raha tha. Maa bhagti hoi aati hain.

Maa: Beta kya howa? (chehray par haath rkhaty hoye) Main yahin hon meri jaan. kuchh nahin huwa, khuwaab tha woh.

Akram: (sehmi hoi awaz mein) maa... baaaba.... maine aaj... Arsay baad khuwaab mein baba ko dekha aur aur...

Maa: Ohh maa ki jaan! Roo maat abhi tumhari maa hain.. Hosla karo.. Tum nay himmat haar-di tou mera kya hoga? meri taaqat, meri dunya sab tum hi tou ho (maa Akram ko gallay laga leti) chalo chup karo. Dekho kya time hogya hai school ki bus aati hogi. Chalo shabaash bas chup. Jaldi tyaar ho jao main nashta banati hon.

Akram maa ki baatein sunn kar kamoosh hojata aur mazeed detail btanay ke bajaye woh khaamoshi mein gardan helata hai aur uniform change karne chalay jata hai aur maa darwaze ki taraf jati aur apne aansu saaf karty hoye neechy nashta banane chali jati.

Akram nashta karta aur itne mein school ki bus aa jati. Maa Akram ko pyaar krti aur Akram bus par charh jata. Bus mein 7-9 students pehle bethy hoye thy. Akram 4th row ki Left side par window wali seat par beth jata. Issi exact row mein right side par wohhi muffler wali larki bethi hoi thi jou ab bhi Akram ko dekh rahi thi aur Akram window se bahr ki taraf dekhty hoye udassi aur soch mein betha hota. Chund minutes baad bus aik gali ke samne rukti. Iss baar bus par charhne wala Akram ka dost Hamza hota. Hamza bilkul Akram ke saath beth jata.

Hamza: Hey jigar SALAM! Kya haal hai.

Akram: (pehle aansu saaf karta aur phir apna mou Hamza ki taraf karta) ohh Hamza WSSALAM.. Tum kab aaye. And main theek thaak.

Hamza: Main tab jab tum humesha ki tarha gehri soch mein thy.. Waise aaj tum bhi bus par?

Akram: Han bas kuchh tabyat theek nahi thi aur uper se aaj bhi kal ki tarha ka ajeeb sa mausam hai tou bus par hi aagya.

Hamza: Hahaha.. Same here.. Socha aaj bus par hi chalty hain...

Akram: Achha kiya.. Shugal lagaty hoye jayegy school.

Hamza: Han bilkul.. Waise aaj kafi bache aur bachiyan bus par hai, dekh tou sahhei..

Akram: Tu baaz nahin aayega..

Hamza: Jou baaz aajaye woh Hamza hi nahin.

Akram: haha... bilkul!

Dono baatein karty pura rasta aur 15 minutes baad school aajata.. Dono bus se utarty aur class room mein chale jaty.

AKRAM's Basic Info-

Name: Akram

Father's Name: TBA

Age: 18 y/o

Height: 5'7

Hair Color: Expresso

Skin Color: Almond

Favorite Food: Biryani

*Other Info

1) Always wears a broken wristwatch.

2) When he is sad or angry, start talking in English

AhmadKartcreators' thoughts
Next chapter