1 01. The Rain

Subah ke 10:17 ka waqt. Asman mein kallay badal. Barish ke baad ka Samaa, ke durr kahin koos-e-kaza(Rainbow) nazar aa rahi thi. Aik school jou ke 2nd-grade tk aur jis ka naam The Vision High School (Co-education) hain. Building ke 2nd floor ki 6th Window se andar class 2nd-grade, Yellow section - I.C.S. Class mein taqreeban 40 students. Jen mein se 24 males aur 16 females.

Ma'am Hina ka 3rd lecture ho raha tha. Issi class ki 4th row & 5th column mein window ke saath aik student soya howa tha.

Ma'am: Bachon aap sab apni Urdu ki book nikalo aur page no.10 open karo. Aaj hum Maqsad-e-Insaaniyat parhein gein.

"itne mein ma'am ki nazar uss soye hoye student par parti hain, ma'am uss student ko uthaty hoye"

Akram(Name of student) Uth jao... Akram....! Akram...!!

"Saath wala larka Akram ko kohnee Marty hoye "oye Akram uth jao nahi tou maar paregi"

Akram: (neend mein) Maa, main Aaj school nahin jaaounga. Soonein deina mujhy. *Everyone giggles*

Ma'am: Khamosh... Aww, Meray munne ko Aaj school nahin jana?

"ma'am chalk marti jou ke Akram ke sar par jaa ke lagta"

Akram: (harbraa kar uthty hoye) Yes sir! Pakistan Zindabaad *Everyone laughs*

Ma'am: Shhh... Akram Aaj phir tum class ke duraan soo rahay thy! Aisa kab tk chalega? Achha bhala active student ho par yeh kuchh 3 4 din se kya hogya hai? Tumhari maa se ab baat karni hi paregi.

Akram: Woh... Sorry... raat ko deir se soya tha iss liye.

Ma'am: Achha! achha! Theek Hai.. Chalo apni Urdu ki book nikalo aur Aaj ka mozoo ka pehla paragraph parho.

Akram: (paragraph read karty hoye) Har insaan iss dunya mein aik maqsad ke teht aata hain. Kai laug apna maqsad pura kar lete aur kai bas bewaja jee ke chale jaty. Insaan ko apni qismaat par bethe nahi rehna chahiye aur nah hi apni qismaat ke mutaliq kuchh bura bhala bolna chahiye. Balke, insaan ko chahiye ke goor-o-fikar karay aur koshish karay apni kismat ko badalne ki. kyun ke issi tarha woh apna maqsad jaan payega aur usse pura kar payega.

Ma'am: Shahbaash Akram, beth jao. Ab iss paragraph ki tashree kon krega?

Aik bacha haath khara karta aur tashree karne lag jata. Akram beth jata aur window se bahar dekhne lag jata hai. Thori hi deir baad 10:40 par break ki bell baj jati hain. Issi class mein 1st row par bethne wala student Akram ke paas aata jis ka naam Hamza, aur yeh Akram ka best friend bhi hain. Yeh Akram se kehta chalo canteen se kuchh khane ko laatay hain.. Dono cheezein lay kar school ki ground ki bench par beth jaty hain. Hamza cheezein nikalne lagta tou shopper mein dekhta ke uss ki drink nahin hain. Hamza eshare se Akram ko kehta ke main drink lay kar aaya aur who drink lene chale jata. Chand hi lamhe k baad Saad aur uss ka gang Akram ke paas aaty jou ke issi ki class mein parhty.

Saad: Hey o-jahaaz! Tu khata bhi hain? Mujhy lga tu bas peeta aur soota hai *his gang laugh*

Akram: Oye Saad aaj nahi.. Mera mood nahi hain.

Saad: Ohh ab hum jahaaz ke mood ke mutabiq chale (apna haath Akram ke kandhe par marty hoye) Samjhata kya Hai apne aap ko tu. Teachers ka favorite hai aur class ka topper hai tou hum par hukum chalayega, attitude dekhayega! Chal bay hatt! Huh!

Akram: (ghusse se) I said not today! Get lost.. You ***.

Saad: Ohh angreezi bhi aati hai humaray topper-jahaaz ko *Again his gang laugh* Come-on guys lets go. jahaaz ke peene ka waqt huwa jata hai iss liye ghussa dekha raha hai (one of his gang member: H..an... han..bbbilkul sahe kaha bbboss aap nay. Choolo isss ko)

Saad aur uss ka gang wahan se chale jaty hai. Akram aik aah bharty hoye achanak soch mein ghum ho jata aur uss ka ghussa udaasi mein tabdeel ho jata aur aankhon mein aansu aa jaty hain. Itne mein Hamza bhi aa jata apni drink lay kar.

Hamza: (bethty hoye) aik tou canteen wala bhi ajeeb hai. Meri drink kisi aur ko dey di thi aur batane par maan bhi nahi raha tha. Bari mushkil se maana. Iss liye deir ho gyi thi (issi duraan baat karty karty Hamza Akram ki taraf dekhta tou Akram ki aankhon mein aansu dekh kar pareeshan ho jata) ohh jigar ab kya howa aik dam? Abhi tou theek chhor kar gya tha! Kisi nay kuchh kaha kya? Uss ki tou....

Akram: (Halki se awaz mein) ohh jigar kuchh nahi. Bas kuchh soch raha tha tou....

Hamza: Aisa kya soch rahay thy ke aik dam aansu aagye..... Don't tell me that again... Kitni bar manah kiya hai ke apnay maazi ko bhool jao. jou howa woh humaray bas mein nahi tha. Itna matt socha karo.

Akram: Mujhy kuchh sahi se yaad nahi par aise lgta hai jaise maine un lamhon ko mehsoon kiya hain! jab bhi woh sab sochta hon aansu aajatay. Baba ab hum mein nahi hain aur kai saal hogye magar aaj bhi rola deti hai un ki yaad. kaash kuchh yaad hota mujhy, ya thora bara hota uss waqt. phir jaan skta akhir hua kya tha?!

Hamza: Yeh tou KHUDA hi behtar janta hai ke kya wajah thi aur yeh sab kyun? (break khatam hone ki bell baj jati) chalo.. Ab hum kya kar sakty hain sab USS ZAAT aur waqt par chhor dou. Abhi class ka waqt hogya hai aur aaj tou Sir.Haider ka computer ka test hai woh kiya hai?

Akram: Nahi... main nahi kiya...

Hamza: Chalo koi nahi apna mood theek karo aur mujhy yaqeen hai ke tumhein aik din sab clear ho jayega. Itna nah socha karo bas khush raha karo.

Akram: (muskuraty hoye) shukriya jigar for being all by my side!

Hamza: Hahaha... jigar ab sharminda na karo.. You know tum khush tou main khush.

Dono aik dusre ke kandhon par haath rakhty hoye classroom mein chale jaty hain. Break ke baad 4th lecture. Iss lecture mein Class mein sab ke test ho rahay. Sir.Haider Akram ki taraf dekhty aur unn ke chehre ke tasuraat badal jaty hain. Theek 40minute baad chhutti ki bell baj jati hain. Hamza apni bike liye aur Akram apni cycle liye school ke main-gate se bahar aaty.

Hamza: Jigar Friday ka apna maza haina.. Jaldi chhutti ho jati hain

Akram: Sahhei kaha. Friday is a fun day

Hamza: Hehe.. Yup.. Chalo theek hai kal milty hain aur han ab udaas nah hona. Be happy!

Akram: Han..han.. Theek hai boss

Hamza: Good.. That's my boy

Akram: Badal boht aaye hoye hain. Lagta barish dubara hone wali hain.

Hamza: Han lagta tou hain, chalo dehan se jana cycle par zeyda tamashe nah karna.

Akram: Hahaha.. ok ok..chalo bye! Take care!!

Hamza: You too.. See yeah!!

Dono apne apne raasty chal perty hain. Akram abhi thori hi aagy jata tou achanak barish shuru ho jati hain. Akram bus stop ke shade ke neechy aa jata aur barish rukne ke intezaar mein shade ke neechy khara ho jata hain. Bus-stop par 4 aur laug thy. Un mein se aik glasses wala larka, aik larki jis nay gallay mein orange color ka muffler liya howa tha aur 2 uncle mujood thy wahan. Akram apni cycle side par lagata aur apnay hi dehan mein larki ke saath kharay ho jata aur barish ko dekhne lag jata. Barish ko dekh kar Akram dubara udaas ho jata aur aansu bhi aa jaty.. Glasses wala larka halke se Akram ke sar pe haath rakhta aur aik dam pechy kar deta. Akram kheyalon mein itna mehsooz tha usse pta bhi na chala. Paas khari Larki ki nazar aik dam Akram per parti. pehle tou aansu dekh kar heraan hoti aur baad mein muskurane lag jati (iss ki muskurahat ajeeb si thi jis se andaza nahi ho raha tha yeh khushi mein ke gham mein muskura rahi hai) chand lamhe baad barish rukk jati hai aur sab apne apne rasty chal perty hai. Akram bhi apni cycle liye ghar ki taraf rawanah ho jota hai. Yeh larki ab bhi Akram ko jaty hue dekh rahi thi.

Akram ghar pohnch jata aur garage mein apni cycle rakhta aur wahan mojud sink se apni aankhein saaf karta.

avataravatar
Next chapter