1 Old man see towords the sky.

Abhi dopher ka kareeb 1 hua hay, baher barish ka mosam bhi ho rha hay mano jese tez barish aane wali ho, tufan ki avaj bhut dur se sunai pad rhi hy. itne me halki halki bundo ka aana suru ho gya or ek halki si mehak na jane khan se man ko chune wali sugandh aa rhi hay. charo trf barish k mahol hay, log ek dusre ki barish se bchane k liye idher udher chhup rhe hay, koi kisi ki dukan me chala jata hay to koi kisi k ghar ki chat k niche aa jata hay or me, me barish me bhig rha hu mera man hi nehi ho rha khi jane ka, lag rha hay jitni der barish ho utni der yhi khada rhu. aaj kai salo me esi thandi barish me bhigne ka moka jo mila hay to kese moka jane du me. ab barish or tez ho gai, barish ki bunde tez cehre per aker lag rhi hay me barish k mje bhi le rha hu or thad se ab kanp bhi rha hu itne me mere kano me kisi ki avaj sunai di lga jese mujhse kisi ne kuch kha ho mene idher udher dekha barish ki tezi me koi nazer nhi aaya fir ek bar or avaj sunai padi, beta idher aa jao barish me mat bhigo ye barish nhane k liye nhi hay bimar ho jaoge aao meri dukan me aa jao tumko caye bna dunga. mene dyan se dekha ek buddha admi mujhe haat kr ke bula rha tha meri or haat se isara kr rah tha. mera man to nhi tha per us budhe aadmi k do bar khne per mere pair apne ap uski dukan ki or chal pade. ek nale ko paar kr k uski dukan thi. q ki dukan nale k dusri par thi isi liye vhan per koi or admi nehi tha us budhe aadmi k alava. me jese tese barish me us nale ko par kr us aadmi ki dukan pr pahuch gya. me thoodi der khada rha, abhi bhi mere kapdo se pani tapak rha tha sare kapde or me khud pura barish k pani se bhiga hua tha kuch der ese hi kade rhne k bad pani ka tapkna kam hua or me us buddhe ki dukan per jaker beth gya. mene aache se us budhe aadmi ki dukan dekhi, vo dukan nhi thi lakdi ka khokha tha jis per kuch tabaccu or nameen jesi chize rakhi hui thi or ek trf cahye bnane k liye balti me pani or ek balti me milk or kuch chotti dibbiyan thi syad unme kuch or hoga mene dyan se dekha sab or fir ek bar meri nazer us buddhe aadmi per padi, pta nhi q kuch ajeeb sa lga use dekh ker man me kuch bhav sa utha kuch drd sa bhav kuch takleef thodi chinta si hui man me.

na jane q me us insan k bare me sochne lga us k bare me jaan ne ko meri utsukta badhne lagi per me cha ker bhi us se kuch puch nhi pa rha tha sayad abhi me use or dekhne or mahsus kerna chata tha mera dimag us insan ki puri tasbeer man me bnane ki kosisi ker raha tha mano uske jeevan ki har bat jan lu.

safed kurte me ye insan lagbahg koi 70 ya 75 sal ka hoga bhara hua chara, ser per safed bal meri nazer uske hat or pairo per padi me saham utha hat or pair dono sujan se bhari hue thay lag reha tha jese mano ek bar beth ker is per fir utha bhi na jayga hato or pairo per sujan ki vajha se chamak bhi thi dekh ker lag rha tha jese ye sujan bhut salo se iske hato or pairo me aa rhi ho.

mere bina khe hi usne mujhe caye bna di or kha betha or kuch du caye k sath. mene kha nhi sukriya fir budhe admi ki trf dekha or kha ha ek ye chota namkeen ka packet de do.

us budhe aadmi ne namkeen ka packet todne ki liye uthne ki kosis ki or apne hat ghutno per rkh kr uthne lga or ek halki si chikh k sath bola hay ram or khda hu gya me ye dekh kr kuch sochne lga or chup chap apni caye pine lga mujhe namkeen dene k baad vo admi fir bethne k liye side wali lakdi ki divar k shara leker bethne ki kosi kerne lga or dhire dhire bethne k sath sath halka sa chikh gya. me apni caye pi hi rha tha k mere se rha nhi gya or mene puch hi liya baba apni umer kitni hogi?

unhone kha ab 74 ka ho gya hu ek do sal or jiunga fir permatma k pas lot jaunga. iske bad mera or koi saval krne ka man na kiya, na jane q mere man ne uske liye itni savandna q ho rhi thi me khud nhi janta. fir akhiri caye k ghuntk sath mene fir pucha apke pairo me ye sujan kese hay? us baba ne jbab diya sarir me khun ki kami hay or inefectionhay khun me usi se hay ye sujan mene kha to iska ilaj q nhi krate sarkari hospital to hay bhut sare is per unhone jbab diya ha hay to shi per ham ja nhi skte mene kha ham matlab usnekha me or tumhari amma dono k hi suajn hay vo kaht me padi rhti hay ab to do salo se or me yahn apna time kat leta hu. mere ander drd ka samander fatne lga savalo k hzaro rup mere man ne baher ane ko btab ho rhe thay bat ye nhi thi k me savalo k jbab chata tha bat thi k me uske derd ko mhsus kerna chata tha.

mene kha or apke bacche-

ye sunker us buddhe admi me apna anghocha uthaya or muh per fera or uper aaaman ki or dekhne lga kuch bola nhi aage, bus uper aasan me dekhte hi kuch der nikal gai mano jese mere saval ka uttar aasman me dundh rha ho ya fir apne dil se us ka jbab na btana cha rha ho.

mene abki bar kuch alg tarike se pucha, Baba apke bete baher rhte hay kya?

ye sunker usne kha bete mene kha ha apke bete to us budhe aadmi ki aakhe nam ho gai ye dekh ker mujhe lga k ye mene q puch liye mene socah syad iska ek beta tha or vo bhi mer gya per tabhi usne bola mere do bete hay dono ko bhut pdhaya likhaya unme se ek vides chla gya or aaj tak nhi aaya na kabhi uska koi phone aata hay na koi khat. Me chup chap us aadmi ki bate sun rha tha fir pucha or baba apka dusra beta, vo, vo kha hy vo bhi koi aachi post per hy kiya? baba me kha nhi vo koi kahs post per nhi hay, fir mene baba ki or dekha or kha fir vo apke pas nhi rhte. Baba ne kha ha vo hmare pas hi rhta hay uski sadi bhi kr di hmne per koi baccha nhi hay uske. srab pita hay din bhar hmari koi pervah hi nhi use subha ko kam k liye jata hay or rat ko srab pi ker aata hay. fir se vo aadmi uper aasam ki or dekhne lga jese mano kh rha ho hmara jindgi bhr kerne ka fraj hay hmara koi nhi krega or ab kya koi krega ab to puri jindgi khtam ho gai jiyenge bhi kitna do mhine, teen mhine or jada kya hmara to kl ka bhi pta nhi thik se jesi halat hay hmari. meri akho me aasu thay uske bare me jan ker fir mene kha baba ek caye or milegi. Q ki barish abhi bhi rukne ka nam nehi le rhi thi charo or pari ka bhrab ho gya tha me us baba ki dukan per beth ker uske jeen me jane ki kosi ker rha tha jab tak me betha rha vehn per bus do teen log aa ker to khade ho gye barish se bahcne k liye per kisi ne caye k liye nhi bola mujhe thda ajeeb lga q ki ab us budhe aadmi se mujhe shanbhuti hone lgi thi mere andrer hi ander. me man hi man me un kahde admio se kh rha tha k ager barish me ek cup caye pi loge to kya hoga is buddhe aadmi ka hi bhala hoga iske pas log kam aate hay isko char paise hi milenge. per kisi ne bhi caye k liye nhi bola. tabhi meri nazar vhan per ek kareeb 10 sal k ladka per padi vo bar bar baba ki or dkeh rha tha or fir wahn rkhe biscuit ko bhi dekh rha tha. mene turnt use apne pas bulaa or kha caye pioge usne kha mere pas bus 3 rupeye hay mene kha koi nhi bus ye btao caye pioge usne kha ha mene kha baba ek caye or bnao ab budhe ne meri or dkha or muskuraya or kha ha abhi beta.

mene us chote ladke ko apne pas bethaya or kha caye k sath or kuch chiye usne biscuits ki or isra kiya or mene baba se kha baba ye or dena ek. ab mene or us chote ladke ek caye or pi or ab barish bhi khtam hone lagi thi sabhi log jane lage thay vahanse per mera vahn se jane ka man nhi tha vo chota ladka bhi vahn s e bina kuch khe chala gya ab fir se me or baba rh gye us dukan per. menen baba se fir ek bar hichkihcate hue pucha baba aapka is kam se gujara ho jata hay, baba ne bade dhire awaj me kha guajra to nhi hota per krna padta hay kabhi din me ek bar kha lete hay ya pados se kuch mil jata hay to vo le lete hay. me sun to rha tha sab per mera dil ander se pighla hua tha jis insan k do do bete ho ek beta wides me ho or ek unke pas fir bhi vo pados se roti leke khata ho dekho to wakt ki kesi bidambna hay in per. mene jab bhi us budhe aadhmi ko dkeha unlski akho me sabra tha ek dil per patthr tha uske, apni khud ki halaat pr vivas tha. kher ab mujh bhi jana tha to mene sabhi caye, namkeen, biscuit k paise diye or chla aaya apne gar. syad mere liye vo meri jindgi ka sabse anubhavi din tha. mne kisi insan ke Jeevan ki jai bate sikhi, kabhi kisi ka dil nhi dukhana cahiye or kisi ko bhuke nhi rhne dena cahiye sabki mdad kro is se badi koi chiz nhi.

avataravatar