webnovel

Proposition

Hamari duniya me 7 kingdoms the. Valoria, Elara, Nymeria, Lithara, Bryndor, Arinthia or Estora. Sabhi kingdoms ke alag alag raja or rules the. Kuch kingdoms friendly the to kuch ek dum narak lekin ek kingdom aisa tha jo na to puri tarah acha tha or na hi puri tarah bura. Wo tha hamara Kingdom Estora. 

M aaram se so raha tha ki tabhi meri butler, Calista, mujhe jagane ke liye aayi. Calista meri puri dekh bhaal karti thi. Mera uthna-sona, khana-pina sab calista sambhalti thi. Calista 38 saal ki thi lekin dekhne se bilkul bhi budhi nahi lagti thi. Calista ki aankhon ka or baalon ka rang kaala or skin ka rang thoda sanvla tha. Calista boli

"Good Morning, Master"

"Nahi abhi nahi Calista. Thoda or sone do"

"Lekin Master, King ne aapko Meeting Hall me bulaya hai"

"Huh?! Papa ne? Meeting Hall me? Unhun..."

Meeting Hall,ek aisi jagha jahan par King logon ki shikayat sunkar unka samadhan karta the, wahan par mere papa King Lucien Wuther ne mujhe bulaya tha. Maine man me socha ki 'kal jis aurat ka purse churaya tha pakka wo aayi hogi'. M khada hua or jaldi se kapde daal kar Meeting Hall ki taraf gaya. 

Meeting Hall ke gate par mujhe mera bada bhai Prince Jareth Wuther mila. Jareth bola

"Orion ye pakka wo aurat hi hogi. Tumhe pata hai na kya karna hai?"

"Haa bhaiya. M ek dum chup rahunga."

"Good"

M or jareth dono Metting Hall me ek saath ghuse or guess what? Hame saamne wahi aurat khadi dikhai di jiska hamne purse churaya tha. Hamare papa yaani ki Estora Kingdom ke raja, King Lucien Wuther, gusse me the. Papa ko bohot jaldi gussa aa jaata tha, or gusse me kuch kuch kar baith te the. Ek din to gusse gusse me unhone ek ghar me aag laga di. Haalanki papa dil k bohot ache the. Jab unhone us ghar me aag lagai us ghar me koi bhi insaan nahi tha or baad me jiska ghar jalaya tha usko ek new ghar banwake bhi diya. Papa ko jyada King waale bhaari kapde pasand nahi the to wo simple shirt or overcoat hi daalte the. Unki aankhein nili or baal safed rang ke the. Unki umar 52 saal thi. 

Papa gusse me bole

"Orion idhar aao"

Jareth bola

"Papa, wo is aur--"

"Jareth tum chup chap apni kursi par baith jaao. Mere sawaal ka jawab sirf Orion dega."

"Lekin papa--"

"Lekin wagera kuch nahi Jareth, tum jaakar apni jagha par baitho."

"Ji papa"

Jareth apni kursi par baith gaya or M papa ke saamne jaakar khada ho gaya or bola

"Good Morning Papa"

"Hmm...Orion kya tum jaante ho maine tumhe yahan kyon bulaya hai?"

"Umm....kyon papa?"

"Kya tum sachme nahi jaante? Hmmm?"

"Well papa wo humne is aurat ke paise churaye nahi the wo to bas"

Jareth bola

"Haa papa, ham to bas wo---"

"Jareth pehli baat to ye maine tumhe bolne se mana kiya hai to ek ache bache ki tarah chup raho or dusra tum is aurat ke paison ki chinata mat karo, jo paise tumne iske chori kiye the wo maine lota diye."

M bola

"Matlab papa aap ne hame chori ka dand dene ke liye nahi bulaya?"

"Nahi"

"To fir, kyon bulaya?"

"Shaadi"

"Huh?"

"Tumhari shaadi Orion"

"Huh? Meri shaadi papa?"

"Haa tumhari shaadi"

"Magar papa--"

"Orion kya tum Elara Kingdom ke raja, King Anselm Mercia or Elara Kingdom ki dusri raani, Queen Rowena Mercia, ki beti, Princess Sylvie Mercia se pyaar karte ho?"

"Sylvie? Umm...papa wo..."

"Jawab do Orion"

"Umm.....ab aapko pata chal hi gaya hai to.....huff....Haa papa"

"Kya? Sunai nahi diya..."

"Haa papa m Sylvie se pyaar karta hu. Lekin papa aapko ye baat kaise pata chali? Bhaiya ne batai hogi pakka aapko"

Jareth bola

"Oye maine kuch nahi bataya----"

Ek dum piche se ek anjaan aadmi ki aawaz aayi

"Maine bataya King Lucien ko"

M piche ki taraf ghuma or dekha ki wo aawaz kiski thi. Papa bole

"Oh Ho Oh! Elara Kingdom ki puri royal family ka sawagat hai Estora Kingdom me"

Elara Kingdom ki puri ki puri royal family wahan aa gayi. Wo aawaz King Anselm Mercia ki thi. King Anselm bade hi ache mijaj ke aadmi the. Wo sabhi kingdoms ke saath ache taaluk bana ke rakhte the. King Anselm bohot bhole the lekin saath saath sabhi rajaon se hosiyar bhi the. Koi bhi unke kingdom par hamla nahi kar sakta tha. Unhone army se jyada traps laga rakhe the. Unki aankhein kaali or baal sunhere rang ke the. King Anselm ki umar 53 saal thi. Unki 2 raaniyan thi; Queen Sibylla Mercia or Queen Rowena Mercia. Dono hi raaniyan bohot sunadar or bholi thi.

King Anselm ki pehli raani, Queen Sibylla ki aankhein hari or baal bhure rang ke the. Queen Sibylla ki umar 50 saal thi. Queen Sibylla ke 3 bete the; Prince Tristan Mercia, Prince Maximilian Mercia or Prince Finnian Mercia. Tino ki aankhon ka or baalon ka rang Queen Sibylla pe gaya tha. Prince Tristan ki umar 30 saal thi or wo tino bhaiyon me sabse bada or strong tha. Prince Maximilian ki umar 28 saal thi or wo tino bhaiyon me sabse sundar tha. Prince Finnian ki umar 25 saal thi or wo tino bhaiyon me sabse chota or hosiyar tha.

King Anselm ki dusri raani, Queen Rowena ki aankhon or baalon ka rang silver the. Queen Rowena ki umar 46 saal thi. Queen Rowena ki ek beti thi; Princess Sylvie Mercia. Wo Sylvie hi thi jis se m pyaar karta tha. Sylvie ki aankhon ka or baalon ka rang Queen Rowena ki hi tarah silver tha. Sylvie ki umar 23 saal thi. 

M waha confuse khada tha. Maine Sylvie ko dekha or wo sharmai hui thi. M bola

"King Anselm aap ne bataya matlab?"

Papa bole

"Orion, 1 hafte pehle King Anselm ke khabri ne tum dono ko saath me ghudswari karte hue dekha tha. King Anselm ne ye baat mujhe khatt me likh kar bata di. Ham dono apne apne kingdom me pooch taach karwai to tum dono ke baare me sab pata chal gaya. Or phir aaj maine Elara Kingdom ki puri royal family ko bula liya, tum dono ki shaadi ki baat karne ke liye"

M or Sylvie dono bohot jyada sharma gaye. M bola

"PAPA!"

Papa bole

"Haha, aao aaram se baith ke baat karte hai. Orion or Princess Sylvie tum dono saamne waali 2 kursiyon par baith jaao"

Ham sab apni apni kursiyon par baith gaye. M or Sylvie bohot gande sharma rahe the. Ham dono ek dusre ke bilkul pass pass baithe the. Maine Sylvie ke pass hokar aram se bola

"Sylvie ye sab kya ho raha hai?"

"Orion mujhe bhi tumhari tarah aaj hi pata chala hai"

"Are yaar ham thode din me batane hi waale the"

"Haa, us khabri ne sab kuch ajeeb kar diya"

"Haa, is sab jhamele ki jad wo khabri hi hai use m bataunga"

Prince Tristan bola

"Oye Prince Orion, Sylvie se door ho thoda"

Prince Finnian bola

"Are kuch nahi hota bhaiya. Waise bhi wo dono ek dusre se shaadi karne waale hai"

"Shaadi karne waale hai lekin abhi kari to nahi, agar ye ab dobara Sylvie ke pass gaya fir bataunga ise"

Jareth bola

"Kya bataega? Huh? Mujhe bata de"

"Aa idhar aa batau tujhe"

"M kyon aau tu aa mere pass"

"Kya hua aa na, dar gaya?, huh?"

"Dara hua to tu lagta hai jo bas baton se khel raha hai"

"Teri to----"

Papa bole

"Shaanti! Chup ho jaao tum dono. Jareth ye ladai ka nahi khusi ka samay hai"

Jareth bola

"Sorry papa"

King Anselm bola

"Tristan tum bhi maafi maango"

"HmHm....sorry King Lucien"

Queen Sibylla boli

"Kyon na ab ham in dono se shaadi ke baare me pooch le?"

Papa bole

"Ha...Ha...kyon nahi"

Queen Rowena boli

"Sylvie, kya tum Prince Orion se shaadi karogi?"

Papa bole

"Orion, kya tum Princess Sylvie se shaadi karoge?"

Maine or Sylvie ne ek dusre ki taraf dekha or ek saath bole

"HAA"

*firecracker*

Hamare haa bolte hi patakhe foot gaye. Dhol bajne lage. Sab khushi se jhoomne lage. Dono kingdoms ne ek dusre ko badhaiyan di. Agle din papa ne bohot badi party rakhi jisme saaton kingdoms ki royal families invited thi, jinme se sirf chaar royal kingdoms ki family hi aai. Party waale din papa ne sabki attention apni taraf kari or bole

"M apne bete Orion or Elara Kingdom ki Princess Sylvie ki shaadi aaj se baara din baad ghosit karta hu. Kisi ko koi dikkat?"

"Nahi"

"King Anselm?"

"Nahi mujhe bhi koi dikkat nahi" 

"To fir hamare ache bhavisya ke liye...Cheers!"

"Yeah...Cheers!"

Queen Rowena mere or Sylvie ke pass aai or boli

"Tum dono ek saath kitne pyaare lag rahe ho"

Sylvie boli

"Mummy!!"

M bola

"Thnx Queen Rowena"

Queen Rowena boli

"Oh Orion, tum bhi mujhe mummy bula sakte ho"

Mummy ka naam sunte hi meri aankhon me aansu aa gaye. Queen Rowena boli

"Kya hua Orion? "

"Kuch nahi wo bas aapki baatein sunkar apni mummy ki yaad aa gayi thi"

"Mujhe maaf kar dena mujhe pata nahi tha tum ro padog--"

"Koi baat nahi, Mummy"

Piche se Queen Sibylla aayi or boli

"Tum dono ek dusre se kaise mile wo nahi bataoge?"

Ab is sawaal ka jawab to dena hi padega........

Next chapter