Jaesa ki maine apse bataya main sone ka natak karta hi raha , maine soha ki yahee sahee rahega . Lekin maine jab aage ki baat-cheet suni to main zayada der tak natak naheen kar saka . Aap conversatioon sune aur khud hi decide kar lein ki kya iss situation mein koi acting kar sakta hai . Conversation (baat-cheet) kuch iss tarah thi ….
DAD—sir ab kya yahee final choice hai hamare pass . Kya ab koi ummeed naheen hai ?
ANJAN ADMI – Yes sir , apke pass koi alternative naheen hai .
" kuch der ke liye , mujhe koi awaaz sunai naheen di , siwaye mom ke rone ki " phir ….
ANJAN ADMI –apka baccha 2 saal se COMA mein hai , aur kisi bhi tarah ka koi progress naheen dikh raha.
DAD - lekkin sir !! aap doctor hain kuch to alternative hoga ? kuch to kiya ja sakta hai ?
ANJAN ADMI (doctor) – sir there is a limit of what doctor can do . ( matlab doctor ki bhi ek limit hoti hai)
" tab mujhe ahsas hua ki ye anjaan shaks doctor hai , aur main coma mein tha . Lekin ye sunke mujhe itna shoock laga ki maine aankhein khol di aur sone ka natak khatm kar diya . Maine jab ankhein kholi to maine dekha dad doctor (anjaan admi) se baaat kar rahe the , mom sir neeche kar ke roo rahee thin , aur mere side pe nurse khadi thi jo ki dad aur doctor ki taraf dekh rahee thi. Isliye meri taraf kisi ka dhayan naheen tha iss waqt .
Halakii main kuch bolna chata tha , lekin main itne shock mein aa gaya tha ki mujhe kuch samjh hi naheen aya ki kya bolein . Main bus ankhein khole kuch sochne laga , in tamam baton mein matlab dhoondhne laga .
............. to be cont.